Ab ku-e-yaar tere zamanay guzer gaye

loading...
ku-e-yaar

ku-e-yaar

Ab ku-e-yaar tere zamanay guzer gaye
Jo apne gher se aye thay woh gher gaye,
Ab kaun zakham-o-zeher se rakhe ga silsila,
Jeene ki ab havass hai humen hum to mar gaye,
Ab kya kahoon ke saara mohalla hai sharamsaar,
Main hoon azaab main ke mere zakham bhar gaye,
Hum ne bhi zindagi ko tamaasha bana diya,
Uss se guzar gaye kabhi khud se guzar gaye,
Tha ran bhi zindagi ka ajab turfa maajra,
Yaani uthe to paaon magar Jon sar gaye

ku-e-yaar ,john elia,jaun elia,jon elia,jaun elia poetry,

Comments

comments

loading...

Be the first to comment

Leave a Reply